Facebook

Hii....i am akash ubale and Ye website maine banai hai me koi proffesinal hacker nahi hu bus kuch logoka dekh ke khud sikhta hu or aap ko sikhata hu...agar koi bhi problem ho bus netkingakash27@gmail.com pr ek msg kar do aap ko aap ka javab mil jayenga.... so enjoy my website...net king akash

This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

Sunday, July 10, 2016

Mobile pani me girne par kya kare kya na kare by net king akash

Mobile Pani Me Gir Jane par kya kare


Aaj Kal Har ek vyakti ke paas Phone to hota hi hai, or Phone ab hamari jindgi ka aesa hissa ban chuka jo agar naa ho to hamare bhut kaam bigad jate hai. Hamare Liye kisi bure sapne se kamm nahi hota ki hamara Phone Pani me gir jaye. Bhut war galti se Mobile Pani me gir jata hai to chaliye jante hai sabse acha tarika apne Pani me Gire Mobile ko sahi karne ka.

Agar Aapka Phone Pani me gir gaya hai to aap service center bhi le jayege to wo aapke phone se sayad sahi karne se mana kar de.. Q ki bhut si companies pani me girne ke baad warranty khatam kar deti hai.
Abhi ke jitne bhi Smartphones aa rahe hai unme to water sticker bhi laga hota hai, to jab Phone pani me girta hai to jo sticker hai uska color badal jata hai or badi aasani se pata kiya ja sakt ahai usko dekh kar ki Phone kabhi pani me gira hai ki nahi.

Mobile Pani Me Gir jaye to usko kaise sukhaye simple tarike by net king akash

Agar Mobile Pani me Gir gaya hai to kya karna hai or kya nahi aaiye jaante hai.

mobile pani me girne ke baad kya kya na kare 

  1. Mobile ko kisi chij se garam na kare sukhane ke liye.
  2. Mobile ko On karke naa rakhe.
  3. Gila hone ke baad Mobile ko pura sukhne tak bilkul use naa kare.
  4. Jada der Pani me Mobile ko naa rhane de, warna kharab hone ke chance badd jayege.

Pani me Mobile Girne par Kya kare

  1. Sabse Phele Turant apne Mobile Phone ki Battery Nikal de (Agar aapne Mobile ki battery nahi nikalti hai to Mobile ko turant Switch off karde)
  2. Mobile ko jada hilaye dulaye nahi
Ab hame apne mobile ko gila ho chuka hai usko sukhane ke liye aesi trick tri karna hai jo lagbhag har Mobile par work karti hai.
Kisi wartan me bina pake chawal (Rice) le, Jo Aapka Mobile ko usko upar se jitna pani hai wo phele kisi kapde se saaf kare, Fir Mobile or Battery ko Chawal ke andar pura dhak kar rakh de.. Mobile ko 24 Hours tak aese hi rakha rhane de.
Mobile ko Chawal me rakhne par jo Chawal hai wo uska pura pani sokh lege or is trha aapka Mobile bilkul tikh jo jayega.
Aap ko trik kaisi lagi jarur bataye dhanyawad

Wednesday, July 6, 2016

Computer me hindi type kaise kare sab jankari hindi me

Hindi Typing Kaise Kare – Tarike Hindi Me


Hindi Typing Kaise Kare. Aam tor par hamare pas English keyboards hote he, Aur hamara jadatar kam Hindi me hota he. Fir us samay Hindi me type karna kambakth bada mushkil ho jata hai. Par abhi chinta mat kijiye, Me aapko aaj Hindi me type karne ka sabse aasan tarika bataunga. Hindi Typing Kaise Kare ye me aapko batata hu. Aap kuchi seconds me Hindi bhasha me type karne lag jaoge.
Hindi Typing Kaise Kare
Aab baat aati hai hindi typing ki. Yadi samanya application jaise wordpad, internet explorer aadi me hindi type karne ke liye ek unicode font ka hona hi paryapt hai. Lekin windows me har jagah hindi likhne hetu hindi aur anya bhartiye bhasha ka support enable kiya jaana chahiye.

Window me hindi support enable karna

Hindi Typing Kaise Kare. Windows XP me iske liye control panel ke regional aur language settings me jaaye. Iske baad language tab par click kare supplymental language support me install files for complex script aur right to left language checkbox ko select kare aur ok par click kare. Ab apse windows Xp ki cd maangi jaayegi  jiske uprant installation prakriya  sampanna hogi. Hindi typing ki vaise to kai vidhiyan hai par prachalan me nimn teen hai.

Ramingtan typing

Hindi Typing Kaise Kare. Yeh vala sabse purana aur kafi had tak outdated tarika hai. Yeh ek touch typing vidhi hai. Iske liye pehle hi typewriter par hindi typing sikhi honi chahiye. Yeh sirf unke liye upyogi hai jinhone pehle se typewriter par hindi typing sikhi ho aur iska abhyas ho. Computer par naye sire se sikhne hetu yeh upyukt nahi hai.

Inscript typing

Hindi Typing Kaise Kare. Iska vikas bharat sarkar ke rajyabhasha vibhag ne kiya tha. Yeh bhi ek touch typing pranali hai. Yeh vidhi bhartiya bhashaon me typing ki sarvadhik vaigyanik vidhi hai. Is vidhi se computer par sarvadhik gati se hindi type ki ja sakti hai. Yadapi ye hindi typing ki sarvashresht vidhi hai lekin iske liye bhi kuch samay abhyas karna padta hai.

Phonetic typing

Hindi Typing Kaise Kare. Yeh hindi type karne ka sabse aasan aur vartaman me sarvadhik prachalit tarika hai. Iski khasiyat hai ki ise sikhne me bilkul samay nahi lagta. Aap sidhe hindi me likhna shuru kar sakte hai. Udharan ke liye aapko raam likhna hai to aap type karene “rama : Yeh bhartiya bhashaon ke dhaurnayatmak gun par adharit hai, arthat jaisa bola jata hai vaisa hi likha jaata hai. Aur internet par adhiktar hindi prayogkarta isi vidhi ka upyog karte hai. Adhiktar nayi site aur software bhi isi ko apna rahe hai aur ab hum isi ke bare me charcha karenge

Online tool

Online valon me aap tool ki site par jakar vahan hindi me type karke fir use copy karke jahan likhna ho vahan paste karde. Isliye yeh tareeka upyukt nahi, isme copy paste ka janjhat hai. Dusra chunki ye tool adhiktar server par aadharit hote hai. Unki typing speed kam hoti hai.  Is tool ka ekmatra laabh yeh hai ki apne computer se dur hone par aap bina koi tool download kiye site par jakar hindi likh sakte hai. Udhaharan ke liye hindni aur uninagri namak tool. Aur ek online tool he google translator jo is waqt dinya ki kisi bhi bhasha ko kisi dusri bhasha me badalta he. Par ye bhi abhi tak puri tarah se sahi nahi batata.
Demo dekhne ke liye aap yaha click kar sakte he – https://translate.google.co.in/

Offline tool

Dusri or offline tool ko ek baar download karke use kisi bhi windows application jaise wordpad,  google talk aadi me kahin bhi sidhe hindi likh sakte hai. Is tarah ke tools ko Phonetic typing kaha jata hai. Niyamit prayog ke liye yeh tool upyukt hote hai. In tools ki speed tej hone ke saath hi inke dvara likhna kahinadhik suvidhajanak hota hai. Iske atirikt inme kai any function bhi hote hai.
Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.

Computer ki speed kaise badhaye by akash ubale

Computer Ka Speed Fast Kaise Kare 5 Tarike


Kya aap pareshan he apne computer ke slow speed se. Janiye Computer Ka Speed Fast Kaise Kare. Ye Kuch asaan tips aapke computer ka speed fast kar denge. Padhiye Computer Ka Speed Fast Kaise Kare
Kai baar log apne system par start up programe jayda install kar lete hain. Aisa karne se computer ki speed slow ho jati hai. Jin logo ko start up ke bare main nhi pta unhe batate chale ki ye aise programe hote hain jo computer ke start hone par automatically on ho jate hain. Ismai kai visits jaise analog clock, screen news speed, g-talk, skype, bit torrent jaise programe include hote hain jinhe user maximum use karte hain. Is tarike se Computer Ka Speed  bohot fast hote he.

Kaise kare uninstall

start menu pr jaye or run command chose kare ya fir ‘windows key + R‘ click kare.
Jo window open hogi usmai “msconfig” type karke enter press kare.
Yaha se start up tab par click kare or jis programe ka use nahi karna usko list se hata de.

C Drive ko rakhe empty

Computer main C drive sabse important drive hai. Hard disk ke is part main sabhi important software rahte hain jinke bina apka system run nahi kar payega. Is drive main more data na store kare. Jo useless hai usko kisi or drive main install kare. Koi bhi personal data C drive main na rakhe.

Gaming computer ke liye kare graphics driver upgrade

Agar aap HD gaming ke saukeen hain toh thuda sa takniki, lekin kaam ka upaye apke PC ko fast bna skta hai. Games ke liye sabse jruri hai ki wo apne PC ke drivers upgrade krte rhe. Drivers wok has programe hote hain hain jo kisi hardware ko chlane ka kaam krte hain. PC khridte time jo drivers wo khas use hote hain jo kisi hardware ko chlane ka kaam krte hain. PC khritde time jo drivers aate hain wo kuch time baad old ho jata hain.
Apne hardware ke hisaab se kisi vender se driver update kiye ja skte hain. PC main AMD, nVidia ya intel jiska bhi graphics processor ho uske hisaab se vender se driver bhi upgrade krwa le. Aise main game khelte time kbhi bhi PC hang nhi hoga. (Computer Ka Speed Fast Kaise Kare).

Na rakhe ek se jayada Antivirus

Aaj ke jmane main virus ke reason antivirus jruri hai, lekin PC ke hisaab se sirf ek registered antivirus hi kaafi rhta hai. Aise main 2 programe ya alag ke koi firewaal programe install krne pr PC slow ho jata hai. Antivirus and firewaal jaise programe more power lete hain. Aise main 2 programe ek sath kaam krege toh speed less hogi.

Corrupt file scane kare

Vaise to computer scan karna sabko pata hai par hum apo computer me jo corrupt file hai usko scan karna bata rahe hai . Computer ka operating system hamesha PC ki system file main change karta rahta hai. Inmai more files aisi hoti hain jo system update ke baad corrupt ho jati hain. Aisi files users ke kaam kin hi hoti hain. Lekin phir bhi system main space liye rahati hain. Aisi files ko delete kiya ja sakta hai ya fir repair kia ja sakt hai.
Computer Ka Speed Fast Kaise Kare.
mene jo jankari di hai aap ko plz ise acche se follow kare aap ki acchi help ki hai to plz share agar aap ko pasand aaya ho to....

Compuer ko password kaise lagaye

Computer Ko Password Kaise Lagaye


Computer Ko Password Kaise Lagaye Windows Security. Kyun ki aaj kal har kisi ki jindagi itni personal ho gayi hai ki ab har koi apna data apna kaam sabse chupa ke rakhna chahta hai. Ab vo kaam chahe facebook pe chatting ka ho. Koi video download karne ka ho ya fir koi business ya job se judi kuch files ko surakshit rakhne ka ho. Ab har koi apni cheej kisi ke saath bhi share nahi karna chahta. Jaise ki aap mobile me password laga ke rakhte ho. Kisi anjan vyakti ke haath me apka mobile chala jaye aur use apki sari information mil jaye isliye aap password lagate ho aise hi ab computer ko bhi aap kisi anjan vyakti ke haath me barbad hone se bacha sakte ho. Windows ko extra insaan se protect rakhne ke liye password ka use kiya jata hai. Password lagane par jab bhi aap computer ko ON karoge toh pehle password dalna hoga. Uske baad hi computer par kuch work kiya ja sakega. Aiye jante hai apne Computer Ko Password Kaise Lagaye Windows Security.


  1. Sabse pehle aap computer ke start button par click kare.
  2. Uske baad vahan option khulega usme se control panel ko open kijiye.
  3. Vahan bahoot sare options me se ek option hoga user account. To user account ko kholiye.
  4. Fir next option create a password for your account par click kijiye.
  5. New password box main apna password likhiye.
  6. Confirm new password box main usi password ko dobara likhiye.
  7. Type a password hint main aap apne password ke liye koi hint likh sakte hai. (Hint tab kaam aata hai jab aap apne password ko bhul gaye ho. )
  8. Ab create password button par click kar dijiye.
  9. Apka computer password se protect ho chukka hai.
Vaise ab har computer ke windows ka alag alag tarika ho gaya hai. Par jyadatar password lagane ke liye ye tarika hi ajmaya jata hai. To aap is tarike se apne computer ko kisi aur ke hathon kharab hone se bacha sakte ho. Agar apka computer protect hai to koi kuch bhi nahi kar sakta hai. (Computer Ko Password Kaise Lagaye Windows Security).
ab aap ne apne pc Ya laptop pe password laga liya hai ab apna data safe rakhe....
accha laga to jaroor dosto se share kare

Key bord kya hai Key bord ka accha istemaal kaise kare

Keyboard Ki Jankari Hindi Me

Apne mera computer ki jankari wala article to padha hi hai. Usme maine sabhi parts ki puri tarah sejankari nahi di hai. Aaj mai apko unme se hi ek part yani Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai bataunga aur Keyboard Types bhi bataunga.

Keyboard – key board typewriter jaisa upkaran hota hai. Keyboard se hum numbers aur letters type karte hai. Bina keyboard ke aap nahi koi name, address, pincode kuch bhi ho type hi nahi kar sakte. Chaliye jane iske main parts ke bare mai. (Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).

Typewriter keys – Inhe hum Alphabet keys bhi kehte hai. Yeh key board ka mukhye hissa hota hai. yeh mukhyta typing sambandhi karya ki karne mai kaam aata hai. Inhi key se hum kisi bhi basha me type kar sakte hai. Iske liye sirf hamko computer me font badalana hoga.

Function keys – Type writer key ke sabse upri bhaag me ek line me F1 se F12 sankhya tak function keys rehti hai. kisi bhi software par kaam karte samay inka prayog usi software me di gayi suchi ke anusaar alag alag tarike se kiya jaata hai. (Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Cursor control keys – In keys se computer ke cursor ko control kiya jaata hai. Isse aap cursor ko up, down, left, right aasani se le jaa sakta hai. Yeh key board par arrow ke nishaan se pradarshit rehti hai. Key board par arrow keys ke theek upar kuch aur cursor control keys bhi mojud rehti hai. Ye is prakar hai.

Page up keys – Is key ka prayog document ke pichle page par jaane ke liye kiya jaata hai.
Page down keys – Is key ka prayog agle page par jaane ke liye kiya jaata hai.
Home key – Iskey ka prayog cursor line ke shuru me laane ke liye hota hai.
End key – Yeh key cursor ko line ke ant me le jaati hai.

Numeric key pad – Keyboard ki dayi aur numeric key pad hota hai. Jise hum Number keys kehte hai. Jisme calculator ke saman keys hoti hai. Inme se kuch keys do kaam karti hai. Numeric keys ke dono karya ko aapas me badlane ke liye num lock key ka prayog kiya jaata hai. Udharan ke liye sankhya 7 yukt ki, home key ke rup me keval tabhi kaam karti hai jabNum Lock key OFF hoti hai. Jab num lock key ON hoti hai to 1,2,3,4,5,6,7,8,9,0 keys, numeric keys ke rup me kaam karti hai. Inme se kisi ko bhi dabane par screen par ek sankhya dikahi deta hai.
Caps lock key – Samanayta akshar lower case me hi type hota hai. Yadi aap ek baar caps lock key ko daba de to type kiya jaane vaala character upper case mai type case me type hota hai. Ise vapas lower case me type karne ke liye ek baar fir caps lock daba de. (Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Shift key – Isko dabakar yadi aap koi akshar ki dabaye to veh upper case akshar me hi type hogi. Yadi caps lock on ki sthiti me ho to yeh kriya ulti ho jaayegi. Jab ek key par do chinha ya chracter bane ho tab shift ki dabakar agar aap wo key press karenge to apko upri chinh screen par dikhai dega.
Space bar key – Yeh key board mai sabse badi key hoti hai. Iska use hum do characters mai space dene ke liye karte hai. (Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Control aur alt keys – Control aur alt keys ka prayog aksar koi vishesh kaam karne ke liye any key ke saath sayunkt rup me kiya jaata hai. Jaise “control + C” ko ek aap do prompt par lout aate hai. Control + ALT+ DELETE keys ko ek saath kramvaar dabane se computer lock, sign off, swich user, password, task managerjaise option dikhata hai.

Keyboard Types

  • Gaming keyboards
  • Laptop keyboards
  • Ergonomic keyboards
  • Thumbsize keyboards
  • Numeric keyboards
  • Laser / infrared keyboards
  • Rollup keyboards
  • Xt keyboards
  • Personal systems (ps/2) keyboards
  • Mini ps/2 keyboards
  • Multimedia keyboards
  • Internet keyboards
  • Wireless keyboards
  • Membrane keyboards
Aap samaz gaye hai aap apne key bord se apna kaam ka time kaise kam kar sakte hai....
bane rahe net king ke saat like and share bus google me net king akash type kariye
by akash ubale

Mause kya hai mause ki jankari hindi me

Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types Jane Hindi Mai


Aaj jante hai Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types Jane Hindi Mai. Aaj mouse ke bina computer par kaam karna asambhav sa lagta hai. Lekin computer ko apni lambi vikas yatra mai mouse ka saath bahoot baad me mila. Mouse se aam logon ka parichaye 1981 me hua. Jab zerox star 8010 computer ke saath pehli baar mouse bajar me aaya. Halanki mouse ko aam logon ke beech lokpriye banane ka shrey apple company ko jaata hai. Jisne 1984 me apne macintosh computer me mouse ka prayog shuru kiya. Jara sochiye, use pehle log bina mouse ke kaise kaam chalet honge? Asal me, pehle computer screen par graphics, button, menu aadi nahi aate the aur us par numbered path sirf do dishaon me chalta tha. Baayen se daayen tatha upar se niche. Aise me mouse ki jarurt hi mehsus nahi hoti thi.

Mouse Ki Jankari Aur Basic

Mouse ka avishkaar stainford research institute ke doctor Douglas C Engelbart ne 1963 me kiya tha. Unka mouse lakdi ka bana tha jisme dhatu ka ek pahiya aur do button the. Douglas Engelbart ne jab 1967 me mouse ke liye pentet ki arji dakhil ki to uska bada jatil sa naam rakha tha. Xy position indicator for a display system. Unhe 1970 me petent mila. Shuru shuru me mouse ka naam rakha gaya “bag”(kida). Aaj computer ki bhasha me programming sabandhi galtiyan aur virus ko “bug” kaha jaata hai. (Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types).
Lekin mouse ko jaldi hi “bug” ki bajay mouse naam mil gaya. Vajah sidhi sadi thi. Mouse ki taar kisi chuhe ki punch jaise lagti thi aur ghumane par veh kisi chuhe ke chalne jaisa hi aabhas deta tha. Yeh naam sabko pasand aaya aur lokpriye ho gaya. Aaj sirf angreji hi nahi, hindi, russi, spanish, german, itlavi aadi bhasaon mai bhi mouse ko mouse hi kaha jaata hai. (Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types).
Key board ki hi tarah mouse bhi ek input device (aagam yukti ) hai. Jiska kaam computer ke processor ko sanket bhejna hai. Mouse ke jariye hum computer ki screen par cursor (tankan bindu) ki sthiti ko niyantrit kar sakte hai. Button aur menu aadi ka prayog kar sakte hai. Chitra bana sakte hai. Audi-video file ko sampandit kar sakte hai. Computer game khel sakte hai. Aur yahan tak ki on screen keyboard ke jariye typing bhi kar sakte hai. (Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types).

Mouse Ke Types

Windows operating system mai istemaal hone vale samanya mouse me do ya teen button aur ek pahiya hota hai. Mouse ke bheetar ek ball (golak ) hoti tha. Jo satah par mouse ki gati ke saath saath ghumti hai. Jab hum mouse ko chalate hai to gend uski vartmaan sthiti ke bare me uske bheetar mojud logic board ko sanket bhejti hai. Ye sanket computer ke processor tak pahunchate hai. Jo monitor ki screen par teer jaise dikhne vale sanket ki position ko niyantrit karta hai. Mouse ke buttan ko dabakar computer me nirdesh bhi bheje jaate hai. Apple macintosh aadharit computer ke mouse me ek hi button hota hai. Aaj gend vale mouse lagbhag band ho chuke hai. Unki jagah laser mouse ne le li hai. Laser mouse ka speed gend vale mouse fast hai. (Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types).

Yaha mouse ke kuch types mention kiye hai.
  1. Wired mouse
  2. Wireless mouse
  3. Gstick mouse
  4. Optical mouse
  5. Trackball mouse
  6. Mechanical mouse or ball mouse
  7. Laptop mouse
Agar aap sab jankari samaz gai hai to plz net king akash ki website apne dosto se jaroor share kare share option niche hai

Mobile se virus kaise nikale

Mobile Se Virus kya hai ise kaise nikalte hai.....sab jankari hindi  by net king akash

Mobile Se Virus Kaise Nikalte hai uske bareme


Step By Step Guide

Mobile Se Virus Kaise Nikale. Aaj kal ham apne mobile mein internet ka bahut istemaal karte hain. Yeh mobile bhi aaj computer aur lapto ki tarah kaam kar rahe hain aur inmein saare features hote hain. Isliye un features ko use karne ke liye hum anek websites se gaane, video, wallpaper aadi download karte rehte hain. Inmein se kuch websites se to downloding surkshit hoti hai par kuch websites se downloading karne par hamare mobile mein virus aa jaata hai. To chaliye jane Mobile Se Virus Kaise Nikale step by step guide.

Kya hota hai internet virus

Internet se aaya hua virus inssan dwara banaya gaya hi computer program hai. Jo apne swarth ke liye yani anti virus ko bechne ke liye banaya hai. Yeh virus jab bhi mobile mein aa jaata hai to uski karyapranali ko prabhavit karne lagta hai. Issay woh mobile dhire kaam karta hai. Baar baar karya karte huye ruk jaata hai ya kabh kabhi to aapke saare data ko hi remove kar deta hai. Aise mein Mobile se virus nikalna bahut zaroori ho jata hai. Aaiye jaane ki Mobile Se Virus Kaise Nikale.

Anti virus ko install karen

Aap ke mobile mein ek anti virus zaroor hona chahiye jo samay samay par aa rahe virus ko remove karta rahe. Iskay saath hi dhyan rakhen ki keval anti virus ko install karna hi paryapt nahi hai. Apko usay niyamit roop se update bhi karte rahna chahiye. Jab bhi aap apne mbile mein internet connect karen pata karte rahen ki apke anti virus ko kaun sa update chahiye. Mobile ke liye anek anti virus hain jinme Avast, AVG technologies, Kaspersky, McAfee, Quick Heal, aadi pramukh hain.

Free anti-virus ka upyog karen

Aap apne mobile ka virus scan karne ke liye free wale anti virus ka bhi prayog kar sakte hain. Isay install karne ke baad update kar len aur kuch samay baad phir isay update karte rahen. Isay install karne ke liye free anti virus dene wali kisi bhi acchi website ka use karen. Download karne ke liye link par click karne. Jab yeh download ho jaay to iskay download huay setup par double click karen. Iskay baad sabhi nirdeshon ka palan karte huay isay install kar len aur update karen. Update hone ke baad sabhi program band kar len aur mobile ko anti virus se scan kare.

Online virus scanner

Mobile mein kaun sa virus hai jaane ke liye aap online virus scaaner ka bhi prayog kar sakte hain. Aap apne mobile mein google open karke usmay online virus scanner search karen. Iskay baad up us scanner ko shuru kar pata kar sakte hain ki aapke mobile mein kaun sa virus hai aur kitna virus hai. Aur phir us hisab se anti virus install kar sakte hain. (Mobile Se Virus Kaise Nikale).

Mobile switch on karne ke baad scan karen

Jab aap apna mobile switch on karte hain to sabse pehle apne mobile ko scan karen. Agar aapne antivirs install kiya hua hai to woh scan ke saath mobile mein aaye huye virus ko rmove bhi karta chala jaayega. Aur is tarah aapke mobile ki speed badhti jaayegi. Scan karne ke baad yeh bhi sunishit ho jaayega ki apka mobile ka system sahi chal raha hai. Koi bhi aisa program mobile mein internet ke jariye nahin aaya hai jo aapke mobile ki karyapranali ko prabhavit kare.

Mobile ka manual padhen

Jab apko pata lag jaaye ki apke mobile mein virus aa gaya hai to aap mobile ke khareedne par saath aaya manual yani kitab ko padhe. Pata karen ki mobile ko uski pehle jaisi sthti yani factory setting par kaise laya jaa sakta hai. Iskay baad aap mobile ko factory setting par le aayen. Issay apka data ramove ho jayega par aapke mobile se virus bhi door ho jaayega. (Mobile Se Virus Kaise Nikale).

Website ke baare mein rai pata karke

Jab kabhi aap koi application kisi website se download kar rahe hain to sabse pehle us website aur application ke baare mein niche likhi logon ki rai padhen. Yadi adhikansh log uske baare mein sahi rai nahi dete hain to aap us website se woh application download nahin karen. Is prakar aap apne mobile mein virus ke pravesh ko rok skenge.
to dosto aap ne is net king akash se bohot kuch sikh liya honga bus meri post ko share like karte rahiye....Post by akash ubale....

Mobile speed kaise badhaye,how to speed up your mobile sab jankari hindi me

Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye – Jankari Aur Tips Hindi Me



Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye  

Aapne aksar dekha hoga ki kuch din tak istemaal karne ke baad aapke mobile phone ki speed kam hone lagti hai. Hum sabhi chahte hain ki hamare mobile ki speed hamesha tez hi rahe. Apke mobile aur operating system ki bhi kuch upayon se speed tez ho sakti hai. Aaiye jaane kya hain who upay jinse aap apne Mobile Phone Ka Speed Kaise badha sakte hain. Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye – Jankari Aur Tips Hindi Me.

Mobile ko update rakhen

Aapke paas android ya windows jo bhi mobile hai usay apko update rakhna chahiye. Google mein search kar har mobile aur uskay model number se sambandhit sanshodhan pata kiye jaa sakte hain. Search mein who site milti hain jo upko aapke mobile ko update kar deti hain aur uskay operating system ke liye aavshyak service pack install kar deti hain. Is prakar apka mobile update ho jaane par tez speed se kaam karega.

Bekar App ko hatayen

Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye, Jab bhi aap koi App apne mobile mein install karte hain to woh  kuch jagah awashya gherta hai. Issay mobile ki speed dheeree hone lagti hai. Jitni zyada aapke mobile mein jagah ghiri rahegi utna hi aapka mobile slow ho jaayega. Isliye woh App jo aap kabhi bhi use nahin karte unhen uninstall kar den. App ko nimna prakar uninstall karen.
Sabse pehle Setting select karen. Iskay baad Application Manager select karen. Iskay baad All tab select karen. Iskay baad list aayegi unmen se who App select kare jinhen aap unistall karna chahte hain. Iskay baad Unsitall ko select kar sabhi App ko uninstall kar den.

App ko disable karen

App ko uninstall karne aur disable karne mein antar hai. Uninstall un App ko karen jo aap kabhi use nahin karenge jisse woh mobile se hamesha ke liye hat jaayenge. Par kuch App aise bhi hote hain jo abhi istemaal mein nahin aa rahe hain par baad mein istamaal mein aa skte hain. Aise App ko disable karke rakhen. App diable hone ke baad mobile mein hi rahenge par karya nahin karenge. Jisse mobile ki speed badh jaayegi. Jab aapko phir se App chahiye to unhen enable kar dijiye. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).

App ko update karen

Jo App aap istemaal karte hain unhen update karte rahen.  App ko tab update karne ka prayas kijiye jab woh Google Play par uplabdh hon. Update karne se aapke App mein naye features jud jaayenge aur update huye App accha aur tez karya karenge jisse aapke mobile ki speed aur badh jaayegi.

Tez speed wala memeory card istemaal karen

Memory card aapke mobile phone ki who jagah hai jahan aapka mobile phone ka data sanchit hota hai. Jin mobile ki aantrik memory kam hoti hai unmay agar zyada shamta wala memory card dal den to mobile tez gati se karya karne lagte hain. Bazaar mein 2 GB se 32 GB tak ke tez gati ke memory card uplabdh hain jinke istemaal se aapke mobile ki speed badh jayegi. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).

Live wallpaper ko nahin len

Alag-alag mobile alag-alag live wall paper ke saath aate hain lekin ye wall paper na sirf zyada storage lete hain balki mobile ki gati ko bhi dheera kar dete hain aur battery ko bhi jaldi discharge kar dete hain.  Isliye yadi aap apne mobile phone ki speed badhana chahte hain to aise Live wallpaer ka istemaal karna band kar dijiye. Live wall paper ko hatane se hi apka mobile tez chalne lagega.

Syncing seva ko band kar den

Mobile mein syncing seva hoti hai jiske dwara aap apne mobile ke har naye update ki jaankari turant hi paa jate hain. Jaise aapke paas ko email aayi to apko mobile turant hi bata deta hai ki aapke paas nayi email aayi ahi. Aisa hi aur doosri application ke sath hota hai. Syncing seva se mobile ko har 5 minute mein update hona padta hai aur issay maobile ki speed kam ho jaati hai. Isliy syncing seva keval bahut aavashyak data ke liye hi rakhen aur baki applications ke liye is seva ko band kar den. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).
Iskay liye Setting mein jaayen. Phir Accounts ya Accounts & Sync select karen. Phir list mein se un appliction se selection ka sign hata den jinki aapko syncing seva nahin chahiye.
dosto ab sikh gaye hai net king akash ne jo aap ko sikhaya bus ek baar try kar ke dekhe aop ko aap ka  phone super fast work karta hua dikahi denga....support me on my web site bus google me net king akash dal do aap ko har saval ka javab mil jayenga.....dhanyavad 

Free call kaise kare,free call apk by net king akash

Mobile Se Free Calling Kaise Kare Tricks – Jankari Hindi Me

Mobile Se Free Calling Kaise Kare

Mobile Se Free Calling Kaise Kare. Aaj kal Mobile mein internet dwara aap bahut se kam kar rahe hain. Jaise online shopping karna, online kitaben padhna, mail karna, gaane download karna, puri film download karna, ek doosre ko gift aadi bhejana aur bhi anek baaten. Aaj mobile aur internet bahut hi suvidha ke sadhan ban gaye hain. Par ab to app apne mobile ke internet dwara free calling bhi kar sakte hain. Jee haan yeh sach hai aur isamy apke phone call balance ka ek paisa bhi nahin lagega aur aap aasani se apne friend ya kisi bhi vyakti jisse app baat karna chahte hain ussay baat kar lenge. To aayiye jaane ki mobile se free calling kaise ki jaa sakti hai. Mobile Se Free Calling Kaise Kare Tricks – Jankari Hindi Me.



Intarnet ke jariye call kaise kare
Agar aapke mobile mein internet suvidha hai to aap us interent ki madad se free call kar sakte hain. Free call karane wali kuch websites hain jaise www.call2friends.com  tatha www.levaphone.com. Free call karne ke liye inmay se kisi ek website par jaayen. Website open karne par aapke samne ek mobile jaisi screen aayegi. Is srceen mein aap wo numbe daalen jise aap call karna chahte hain. Agar call bharat mein karna hai to us number ke aage 91 laga den jo ki bharat ka code hai. Is number ko dial karte hi website apka call us number par pahuncha degi. Aap free caal kar lenge. Par in website se har din sirf ek call 2 minute ke liye hi ki jaa sakti hai.

Skype app ke dwara free calling

Sabse pehle internet ke dwara skype ko download kar len. Ab skype mein apna ek account bana len. Aap facebook ke dwara bh skype mein sign in kar sakte hain. Ab skype ke dial paid ko open karen aur usmay woh mobile ya landline number likhen jisse aap baat karna chahte hain. Uskay baad apka mobile skype ke dwara aap ko us number se baat karwayega. (Mobile Se Free Calling Kaise Kare).

Localads.rediff.com ki website dwara

Is suvidha ke dwara bhi aap pure bharat mein kahin bhi phone kar sakte hain. Iskay liye aap apne mobile me website http://localads.rediff.com/ kholiye. Ismay ek Post Ad naam ka button hoga. Is par aap click kijiye. Ab yeh website apko ad post karne ke liye ek online form bharne ko kahegi. Aap apna form bharkar koi ad post kar dijiye. Iskay baad 1 ghante intezaar karen. 1 ghante baad wapas usi websit par jaayen aur apna ad click karen. Ab aap apna ad kholen aur who number likhen jis se aap baat karna chah rahe hain. Iskay baad aap Talk now naam ke button par click kar den. Ab rediff local ki aur se app jis number par baat karna chahte hain aur aapke numebe par ek hi samay mein phone aayega aur aap dono ke phone connect ho jaayenge. Dono ka phone 1 minute 30 second ke liye hoga. Yani aap dono 1 minute aur 30 second ke liye aapas mein baat kar sakte hain. Is prakriya ko aap kitni bhi baar kar sakte hain.

Whatsapp se free call karne ke liye

whtsapp ne bhi free phone calling ki suvidha di hai. Yeh suvidha saare smart phone par hai jowhtsapp ke latest version ko download karne par milti hai. Iskay liye whats app ka latest version playstor se download karke usay install kijiye. Iskay baad whatsapp aapse aapka number poochega. Aap apna mobile numeber likhen aur uskay pehle India ka code bhi likhen. Ab ok button dabayen aur whatsapp ki ek window screen prapt hogi. Usmay Chats aur contacts ke sath ek aur button bhi hoga jis par Calls likha hoga. Issay aap free call kar sakte hain. Iskay liye sabse pehle contacts par jaayen aur jis se free call karna hai uska number daalen. Number likhne ke baad aap phone ke icon par click karen. Aisa karne se wahtsapp dwara aap jis number se baat karna chahte hain us par call jayega aur aap whatsapp ki sahayata se free call kar sakenge.

Doosre App ke dwara free calling

Inke atirikt Woh app jo free calling ki suvidha dete hain takatone, tango, wechat, wephone, whatsapp, wetalkpro, imo video call, viber, wicall, voxox, hangouts, skype hain.

Dosto ab is net king akash ne aap ko har baat samaza di hai so enjoy it.....good day friends
dont Coppy akash ubale's blog. Powered by Blogger.

Latest News

like my facebook page

comment me

All problem 1 sellution by akash ubales post

वेबसाईट निर्माता के बारे में Net King Akash

My Photo
दोस्तों में आकाश उबाळे,मुझे लोगोकी हेल्प करना अच्छा लगता है मैंने ये वेबसाइट सिर्फ लोगोकी हेल्प के लिए निकाली है,इसलिए मैंने इसमें एडसेंट नहीं लगाई,तो दोस्तों आप का फैमेली प्रॉब्लम हो हस्बेंड वाइफ प्रॉब्लम हो या दुनिया का कोई भी प्रॉब्लम हो आप मुझे बिंदास बोल सकते है आप के हार बात का जवाब दूंगा Netkingakash27@gmail.com

Thanks for visit my site.....Net King Akash

Name

Email *

Message *

Contact Form

Name

Email *

Message *

Love Problem ke sellutions

क्या सीखना चाहते हो निचे पढ़िए,हर एक अपने चॉइस से

Popular Posts