Facebook

Hii....i am akash ubale and Ye website maine banai hai me koi proffesinal hacker nahi hu bus kuch logoka dekh ke khud sikhta hu or aap ko sikhata hu...agar koi bhi problem ho bus netkingakash27@gmail.com pr ek msg kar do aap ko aap ka javab mil jayenga.... so enjoy my website...net king akash

Wednesday, July 6, 2016

Mobile se virus kaise nikale

Mobile Se Virus kya hai ise kaise nikalte hai.....sab jankari hindi  by net king akash

Mobile Se Virus Kaise Nikalte hai uske bareme


Step By Step Guide

Mobile Se Virus Kaise Nikale. Aaj kal ham apne mobile mein internet ka bahut istemaal karte hain. Yeh mobile bhi aaj computer aur lapto ki tarah kaam kar rahe hain aur inmein saare features hote hain. Isliye un features ko use karne ke liye hum anek websites se gaane, video, wallpaper aadi download karte rehte hain. Inmein se kuch websites se to downloding surkshit hoti hai par kuch websites se downloading karne par hamare mobile mein virus aa jaata hai. To chaliye jane Mobile Se Virus Kaise Nikale step by step guide.

Kya hota hai internet virus

Internet se aaya hua virus inssan dwara banaya gaya hi computer program hai. Jo apne swarth ke liye yani anti virus ko bechne ke liye banaya hai. Yeh virus jab bhi mobile mein aa jaata hai to uski karyapranali ko prabhavit karne lagta hai. Issay woh mobile dhire kaam karta hai. Baar baar karya karte huye ruk jaata hai ya kabh kabhi to aapke saare data ko hi remove kar deta hai. Aise mein Mobile se virus nikalna bahut zaroori ho jata hai. Aaiye jaane ki Mobile Se Virus Kaise Nikale.

Anti virus ko install karen

Aap ke mobile mein ek anti virus zaroor hona chahiye jo samay samay par aa rahe virus ko remove karta rahe. Iskay saath hi dhyan rakhen ki keval anti virus ko install karna hi paryapt nahi hai. Apko usay niyamit roop se update bhi karte rahna chahiye. Jab bhi aap apne mbile mein internet connect karen pata karte rahen ki apke anti virus ko kaun sa update chahiye. Mobile ke liye anek anti virus hain jinme Avast, AVG technologies, Kaspersky, McAfee, Quick Heal, aadi pramukh hain.

Free anti-virus ka upyog karen

Aap apne mobile ka virus scan karne ke liye free wale anti virus ka bhi prayog kar sakte hain. Isay install karne ke baad update kar len aur kuch samay baad phir isay update karte rahen. Isay install karne ke liye free anti virus dene wali kisi bhi acchi website ka use karen. Download karne ke liye link par click karne. Jab yeh download ho jaay to iskay download huay setup par double click karen. Iskay baad sabhi nirdeshon ka palan karte huay isay install kar len aur update karen. Update hone ke baad sabhi program band kar len aur mobile ko anti virus se scan kare.

Online virus scanner

Mobile mein kaun sa virus hai jaane ke liye aap online virus scaaner ka bhi prayog kar sakte hain. Aap apne mobile mein google open karke usmay online virus scanner search karen. Iskay baad up us scanner ko shuru kar pata kar sakte hain ki aapke mobile mein kaun sa virus hai aur kitna virus hai. Aur phir us hisab se anti virus install kar sakte hain. (Mobile Se Virus Kaise Nikale).

Mobile switch on karne ke baad scan karen

Jab aap apna mobile switch on karte hain to sabse pehle apne mobile ko scan karen. Agar aapne antivirs install kiya hua hai to woh scan ke saath mobile mein aaye huye virus ko rmove bhi karta chala jaayega. Aur is tarah aapke mobile ki speed badhti jaayegi. Scan karne ke baad yeh bhi sunishit ho jaayega ki apka mobile ka system sahi chal raha hai. Koi bhi aisa program mobile mein internet ke jariye nahin aaya hai jo aapke mobile ki karyapranali ko prabhavit kare.

Mobile ka manual padhen

Jab apko pata lag jaaye ki apke mobile mein virus aa gaya hai to aap mobile ke khareedne par saath aaya manual yani kitab ko padhe. Pata karen ki mobile ko uski pehle jaisi sthti yani factory setting par kaise laya jaa sakta hai. Iskay baad aap mobile ko factory setting par le aayen. Issay apka data ramove ho jayega par aapke mobile se virus bhi door ho jaayega. (Mobile Se Virus Kaise Nikale).

Website ke baare mein rai pata karke

Jab kabhi aap koi application kisi website se download kar rahe hain to sabse pehle us website aur application ke baare mein niche likhi logon ki rai padhen. Yadi adhikansh log uske baare mein sahi rai nahi dete hain to aap us website se woh application download nahin karen. Is prakar aap apne mobile mein virus ke pravesh ko rok skenge.
to dosto aap ne is net king akash se bohot kuch sikh liya honga bus meri post ko share like karte rahiye....Post by akash ubale....

0 comments:

Post a Comment

Comment kar ke puche

dont Coppy akash ubale's blog. Powered by Blogger.

Latest News

like my facebook page

comment me

All problem 1 sellution by akash ubales post

वेबसाईट निर्माता के बारे में Net King Akash

My Photo
दोस्तों में आकाश उबाळे,मुझे लोगोकी हेल्प करना अच्छा लगता है मैंने ये वेबसाइट सिर्फ लोगोकी हेल्प के लिए निकाली है,इसलिए मैंने इसमें एडसेंट नहीं लगाई,तो दोस्तों आप का फैमेली प्रॉब्लम हो हस्बेंड वाइफ प्रॉब्लम हो या दुनिया का कोई भी प्रॉब्लम हो आप मुझे बिंदास बोल सकते है आप के हार बात का जवाब दूंगा Netkingakash27@gmail.com

Thanks for visit my site.....Net King Akash

Name

Email *

Message *

Contact Form

Name

Email *

Message *

Love Problem ke sellutions

क्या सीखना चाहते हो निचे पढ़िए,हर एक अपने चॉइस से

Popular Posts