Facebook

Hii....i am akash ubale and Ye website maine banai hai me koi proffesinal hacker nahi hu bus kuch logoka dekh ke khud sikhta hu or aap ko sikhata hu...agar koi bhi problem ho bus netkingakash27@gmail.com pr ek msg kar do aap ko aap ka javab mil jayenga.... so enjoy my website...net king akash

Wednesday, July 6, 2016

Computer me hindi type kaise kare sab jankari hindi me

Hindi Typing Kaise Kare – Tarike Hindi Me


Hindi Typing Kaise Kare. Aam tor par hamare pas English keyboards hote he, Aur hamara jadatar kam Hindi me hota he. Fir us samay Hindi me type karna kambakth bada mushkil ho jata hai. Par abhi chinta mat kijiye, Me aapko aaj Hindi me type karne ka sabse aasan tarika bataunga. Hindi Typing Kaise Kare ye me aapko batata hu. Aap kuchi seconds me Hindi bhasha me type karne lag jaoge.
Hindi Typing Kaise Kare
Aab baat aati hai hindi typing ki. Yadi samanya application jaise wordpad, internet explorer aadi me hindi type karne ke liye ek unicode font ka hona hi paryapt hai. Lekin windows me har jagah hindi likhne hetu hindi aur anya bhartiye bhasha ka support enable kiya jaana chahiye.

Window me hindi support enable karna

Hindi Typing Kaise Kare. Windows XP me iske liye control panel ke regional aur language settings me jaaye. Iske baad language tab par click kare supplymental language support me install files for complex script aur right to left language checkbox ko select kare aur ok par click kare. Ab apse windows Xp ki cd maangi jaayegi  jiske uprant installation prakriya  sampanna hogi. Hindi typing ki vaise to kai vidhiyan hai par prachalan me nimn teen hai.

Ramingtan typing

Hindi Typing Kaise Kare. Yeh vala sabse purana aur kafi had tak outdated tarika hai. Yeh ek touch typing vidhi hai. Iske liye pehle hi typewriter par hindi typing sikhi honi chahiye. Yeh sirf unke liye upyogi hai jinhone pehle se typewriter par hindi typing sikhi ho aur iska abhyas ho. Computer par naye sire se sikhne hetu yeh upyukt nahi hai.

Inscript typing

Hindi Typing Kaise Kare. Iska vikas bharat sarkar ke rajyabhasha vibhag ne kiya tha. Yeh bhi ek touch typing pranali hai. Yeh vidhi bhartiya bhashaon me typing ki sarvadhik vaigyanik vidhi hai. Is vidhi se computer par sarvadhik gati se hindi type ki ja sakti hai. Yadapi ye hindi typing ki sarvashresht vidhi hai lekin iske liye bhi kuch samay abhyas karna padta hai.

Phonetic typing

Hindi Typing Kaise Kare. Yeh hindi type karne ka sabse aasan aur vartaman me sarvadhik prachalit tarika hai. Iski khasiyat hai ki ise sikhne me bilkul samay nahi lagta. Aap sidhe hindi me likhna shuru kar sakte hai. Udharan ke liye aapko raam likhna hai to aap type karene “rama : Yeh bhartiya bhashaon ke dhaurnayatmak gun par adharit hai, arthat jaisa bola jata hai vaisa hi likha jaata hai. Aur internet par adhiktar hindi prayogkarta isi vidhi ka upyog karte hai. Adhiktar nayi site aur software bhi isi ko apna rahe hai aur ab hum isi ke bare me charcha karenge

Online tool

Online valon me aap tool ki site par jakar vahan hindi me type karke fir use copy karke jahan likhna ho vahan paste karde. Isliye yeh tareeka upyukt nahi, isme copy paste ka janjhat hai. Dusra chunki ye tool adhiktar server par aadharit hote hai. Unki typing speed kam hoti hai.  Is tool ka ekmatra laabh yeh hai ki apne computer se dur hone par aap bina koi tool download kiye site par jakar hindi likh sakte hai. Udhaharan ke liye hindni aur uninagri namak tool. Aur ek online tool he google translator jo is waqt dinya ki kisi bhi bhasha ko kisi dusri bhasha me badalta he. Par ye bhi abhi tak puri tarah se sahi nahi batata.
Demo dekhne ke liye aap yaha click kar sakte he – https://translate.google.co.in/

Offline tool

Dusri or offline tool ko ek baar download karke use kisi bhi windows application jaise wordpad,  google talk aadi me kahin bhi sidhe hindi likh sakte hai. Is tarah ke tools ko Phonetic typing kaha jata hai. Niyamit prayog ke liye yeh tool upyukt hote hai. In tools ki speed tej hone ke saath hi inke dvara likhna kahinadhik suvidhajanak hota hai. Iske atirikt inme kai any function bhi hote hai.
Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.

0 comments:

Post a Comment

Comment kar ke puche

dont Coppy akash ubale's blog. Powered by Blogger.

Latest News

like my facebook page

comment me

All problem 1 sellution by akash ubales post

वेबसाईट निर्माता के बारे में Net King Akash

My Photo
दोस्तों में आकाश उबाळे,मुझे लोगोकी हेल्प करना अच्छा लगता है मैंने ये वेबसाइट सिर्फ लोगोकी हेल्प के लिए निकाली है,इसलिए मैंने इसमें एडसेंट नहीं लगाई,तो दोस्तों आप का फैमेली प्रॉब्लम हो हस्बेंड वाइफ प्रॉब्लम हो या दुनिया का कोई भी प्रॉब्लम हो आप मुझे बिंदास बोल सकते है आप के हार बात का जवाब दूंगा Netkingakash27@gmail.com

Thanks for visit my site.....Net King Akash

Name

Email *

Message *

Contact Form

Name

Email *

Message *

Love Problem ke sellutions

क्या सीखना चाहते हो निचे पढ़िए,हर एक अपने चॉइस से

Popular Posts