Android Me Contacts Ka Backup Kaise Banaye
Google ke dwara banaye gaye smartphoneoperating system android me playstore, drives, maps jaise kai features hai. aajkal data ko safe rakhne ke liye uska backup banaya jata hai taki future me data lost hone par use wapas recover kiya ja sake. Google bhi android ke liye Sync feature deta hai jiske jariye him google drive aur gmail account me backup banaya ja sakta hai.Phone ke andar contacts ek important data hota hai isliye contacts ka backup banakar rakhna chahiye, yadi aapka devicekho jaye ya fir format ho jaye to aap wapasapne contacts ko recover kar sakte hai. aap SD Card me bhi contacts ka backup bana sakte hai jise jarurat ke time bina internet ke emergency me wapas recover kiya ja sake.Agar aap nahi jante ki android me contactska backup kaise banaye to main aapko batane ja rha hun contacts ka backup lene ka tarika, taki jab bhi aap ko jarurat pade apne contact ko wapas apne phone me recover kar sake.
Contacts Ka Backup Kaise Banaye
Android MeSD Card Me Contacts Ka Backup Le:-
Contact App android ka inbuilt app hai jo har android phone me aaya hai, ye androiddevice me contacts ko manage karne ke kaam aata hai. aap apne contacts ka SD Card me backup bana sakte hai.
1.SD Card me contacts ka backup banane ke liye android meContact Appopen kare.
2.Ab menu button par click kare aurImport/Exportoption me jaye.
3.AbExport to SD Cardoption select kare.
4.Contacts ka backupVcard fileke rup meSD Card me save ho jayega.
Gmail Me Contacts Ka Backup Banaye :-
Niche di gayi simple Di steps follow karke aap android phone ke contacts ka gmail account me backup bana sakte hai.
1. Android menu open karkeSettingme jaye.
2.AbAccount and Syncoption me jaye.
3.Gmail Account me log in kare aurSync Contactoption par click kare.
4.PC se gmail account log in kare aur Contact ko select karkeMorebutton par click kare.
5.AbExportbutton par click karke apne contacts ka backup bana le.Is tarah aap apne android mobile ke contacts ka backup bana sakte hai aur jarurat padne par wapas apne contacts ko wapas recover kar sakte hai.
Is tarah aap kabhi bhi apne contact delete hone se bacha sakte hai....
Dhanyavad or is web site ko saat dete rahe
सब नाम का नम्बर
ReplyDeleteToday delete number
ReplyDeletePlz return
Mera gmail account se sara mobile number galti se delete ho gaya too kese number aaye ga sir plzz help me
ReplyDeleteGolaghat
Deletebhai mre Google id s phon me namber lane h
ReplyDeletehjhhj
ReplyDelete