Facebook

Hii....i am akash ubale and Ye website maine banai hai me koi proffesinal hacker nahi hu bus kuch logoka dekh ke khud sikhta hu or aap ko sikhata hu...agar koi bhi problem ho bus netkingakash27@gmail.com pr ek msg kar do aap ko aap ka javab mil jayenga.... so enjoy my website...net king akash

Monday, June 20, 2016

root ke baad kya kare

   *.Rooting ke baad kya kare.*
                   .....................Har banda sochta hai root to kar diya hai ab rooting ke baad kya karu root ke baad kya kya changes ho sakte hai....
To shuru se aap ko mene samzaya hai root kya hai root ke fayde nuksaan....
Ab baari hai rooting ke baad kya kya kar sakte hai.....
Aaiye aap ko sab detail de deta hu bus dosto post ko like and share karna na bhule....

Sab se pahile aap dekhe root kaise kare bus yaha click kr ke apne phone ko root kare

Hii friends aaj kaise ho aap sb?? Mai aaj aapko rooted Android smartphone ke liye Best apps ki list bata rha hu. Maine kuch kuch important apps ko lekar top 10 list banaya hai Jo aap sab ke liye bahut faydemand ho sakta hai. Mai aage Bhi aese Hi apps or tips and tricks ke bataya karunga.
Ye rhi rooted Android smartphone ke liye Best apps ki list ( updated )
1. SCR Screen Recorder
SCR screen Recorder ek bahut Hi Achha Android app hai is app ki madad se aap apne phone ki screen me Jo live chal RHA hai wo record kar sakte hai. agar aapka phon rooted hai to ye app aapke phone me hona Hi chahiye. or ye app ad free Bhi hai to jab aap apne phone ki screen ki recording kar rhe honge to kisi tarah ke bekar ke ads aapko pareshan nhi karenge. SCR screen Recorder ki madad se aap video k sath sath audio Bhi record kar sakte hai.
2. Root Firewall
Root firewall aapke rooted Android me jarur hona chahiye. agar aap limited internet plan use karte hai to ye app aapke liye bahut use full ho sakta hai. root firewall ki madad se aap  chahe to kisi app ko data use karne se rok sakte ho. agar aap nhi chahte ho ki koi app aapka 3g data use kare to aap us app ke data uses ko block kar sakte hai. or is app ki madad se aesa Bhi set kar sakte hai ki koi app bs WiFi ka Hi data use karega. is app ke or Bhi features hai jaise Internet firewall, ad blocker etc.. is app ko apne rooted Android me jarur install kare.

3. Wifi Kill
WiFi kill bahut interesting app hai. agar aapke WiFi ka password aapke dosto ya pados Wale ko pata hai or wo aapka WiFi use kar RHA hai to aap WiFi kill app ki madad se aap unka WiFi connection ko cut kar sakte hai. jis se aapke internet browsing ki speed to badhegi Hi sath Hi sath aapke WiFi data ka chori Bhi ruk jayega. is app ko use karne ke liye aapke phone ka rooted hona jaruri hai.
4. Wps connect
Wps connect app WiFi hacking app nhi hai ye app isliye banaya gya hai taki is app ke jariye aap apne apne WiFi network ka security check kar sake ki aapka wifi hackble hai ya nhi. wps connect app se wps security wale WiFi ke password ko aasani se nikala ja sakta hai. bt aesa Bhi nhi hai ki yah app sare wps security ke WiFi ke password ko bata de. yah app unhi WiFi ke password ko batata hai jo lower security ke hote hai. jaise outdated modem. is app ki or ek Khas bat hai ki is app ke jariye aap apne phone me saved WiFi ke password dekh sakte hai. wps connect playstore me available hai. aap use aasani se download kar sakte hai.
5. Greenify
agar aapne apna phon root kar liya hai to ye app aapke phone me jarur hona chahiye. ye app aapke phone ki battery life ko boost karne ke sath sath phone ko Bhi fast karta hai. is app ki madad se aap ye pata laga sakte hai ki aapke phone ka koun sa app jyada battry kharch krta hai. or aap chahe to us app ko band Bhi kar sakte hai jis se wo app background me Bhi nhi chalega. waise to ye app free hai bt iska paid version Bhi available hai. mai aapko yehi kahunga ki free Version Hi use kare. kyuki free version me Bhi kafi sare features available hai bt aapko thoda Android ka jyada knowledge hai to aap paid version Bhi kharid sakte hai.
6.Super SU
Android phone root karne pe bahut sare Android smartphone me super su app automatically install ho jata hai. agar aapke rooted phone me super su app nhi hai to mai aapse yehi kahunga ki super su app jarur rkhe apne phon me. is app ki madad se aap bs one click me apne phon ko unroot kar sakte hai.
super su app ki madad se aap yah decide kar sakte hai ki kisi app ko root permission dena hai ya nhi. jab Bhi aap apne phone me koi app open karte hai to root permission manga jata hai Jo isi app ke jariye hota hai. ye app rooted smartphone ke liye bahut jaruri hai. is app ka pro version Bhi available hai jisme aapko kuch extra features Bhi milte hai.
7. Titanium BackUp
Titanium backup ki madad se aap apne phone ke sare apps or data ka  backup le sakte hai. ye app kafi pawer full backup app hai. agar aap apne phon ko formet karne ja rhe hai to is app ki madad se aap apne phon ke sare apps or data ka backup sd card par rakh sakte hai jiske bad bs one click se Apne phon ke backup Data ko restore kar sakte hai. titanium backup ki madad se apne Android ka id Bhi Badala ja sakta hai. aapko ye app apne phone me jarur rakhna chahiye. ye app aapko Google playstore pe aasani se mil jayega.
8. Lucky Patcher
Lucky patcher ke bare to aap jante Hi honge. Lucky patcher bahut achha Android app hai rooted phon ke liye Bhi or unrooted phone ke liye Bhi. ye app uprooted phon me Bhi achha kam krta hai bt rooted phon me lucky patcher ke extra features ko aap use kar sakte hai. is app ki madad se aap koi Bhi app ko patch karke usme se advertisements ko hata sakte hai. is app ki madad se aap koi game me unlimited coins pa sakte hai. uske bare Maine yaha detail me bataya hai.
9. link2sd
link2sd card ka nam un logo ne jarur suna hoga Jo rooted Android smartphone use karte hai. link2sd card ki madad se aap apne apps ko sd card me transfer kar sakte hai. jis se aapke internal memory me jyada space bachega. ye app unlogo ke liye usefull hai jinke phon me internal memory kam hai. aapko ye app jarur use karna chahiye.
10. GT recovery
ye app rooted smartphone ke liye sabse best hai. kai bar kya hota hai ki aap apne smartphone me kuch important data ko galti se delet kr dete hai or jab aapko apna data recover karna padta hai to aap pc me koi software ke jariye data recover karte hai. bt ab aap gt recovery ki madad se apne phon me Hi phon ke deleted data ko recover kar sakte hai. bs itna Hi nhi is app ki madad se aap sms, call logs, contact numbers, saved WiFi password, photos, password etc. recover kar sakte hai to ye app jarur install kar le apne rooted smartphone me.
To ye raha rooted Android smartphone ke liye top 10 apps....abaage bhi kuch app hai jo hamare hacker ne khud banai hai or iski parmission hume nahi hai
Chalo fir bhi koi dikkat ho to bus ek msg kar dena shukriya or isitarah hame like share kariye aap ka dost akash ubale.....

0 comments:

Post a Comment

Comment kar ke puche

dont Coppy akash ubale's blog. Powered by Blogger.

Latest News

Blog Archive

like my facebook page

comment me

All problem 1 sellution by akash ubales post

वेबसाईट निर्माता के बारे में Net King Akash

My Photo
दोस्तों में आकाश उबाळे,मुझे लोगोकी हेल्प करना अच्छा लगता है मैंने ये वेबसाइट सिर्फ लोगोकी हेल्प के लिए निकाली है,इसलिए मैंने इसमें एडसेंट नहीं लगाई,तो दोस्तों आप का फैमेली प्रॉब्लम हो हस्बेंड वाइफ प्रॉब्लम हो या दुनिया का कोई भी प्रॉब्लम हो आप मुझे बिंदास बोल सकते है आप के हार बात का जवाब दूंगा Netkingakash27@gmail.com

Thanks for visit my site.....Net King Akash

Name

Email *

Message *

Contact Form

Name

Email *

Message *

Love Problem ke sellutions

क्या सीखना चाहते हो निचे पढ़िए,हर एक अपने चॉइस से

Popular Posts