Android phone ka full backup kaise le full information in hindi by akash ubale
Phone ka backup humare pass hona ye bahot achi bat hai, agar humara phone kharab ho jaye ya chori ho jaye toh backup file humare bahot kam aati hai. Android phone ka backup lene ke liye unlimited tarike hai. Hum google drive me bhi aapne android phone ka backup store kar sakte hai aur aapne jarurat ki hisab se jab chahe tab u se use kar sakte hai. Basically abi jo data phone me hai uski ek copy save karke rakhna es ko backup bolte hai, Aur agar kabhi humare phone me jo data hai wo lost hua tab save kiye hui backup file use karke hum data ko wapas late hai u se restore bolte hai. Ab aap samaj gaye hai backup aur restore kise bolte hai. Aaj aapko is post me non-rooted android phone ka backup kaise lete hai iski jankari dunga. Aane wali post me rooted phone ka kaise backup lete hai wo bhi hum dekhenge. So aaj hum aise kuch Apps ki jankari lenge jinki madat se hum Apps, Contact, Text messages, Photos in sab files ka backup le sakte hai aur jarurat padne par restore bhi kar sakte hai. Sabse pehle dekhte hai google Drive me Backup kaise save karte hai.
Phone ka backup humare pass hona ye bahot achi bat hai, agar humara phone kharab ho jaye ya chori ho jaye toh backup file humare bahot kam aati hai. Android phone ka backup lene ke liye unlimited tarike hai. Hum google drive me bhi aapne android phone ka backup store kar sakte hai aur aapne jarurat ki hisab se jab chahe tab u se use kar sakte hai. Basically abi jo data phone me hai uski ek copy save karke rakhna es ko backup bolte hai, Aur agar kabhi humare phone me jo data hai wo lost hua tab save kiye hui backup file use karke hum data ko wapas late hai u se restore bolte hai. Ab aap samaj gaye hai backup aur restore kise bolte hai. Aaj aapko is post me non-rooted android phone ka backup kaise lete hai iski jankari dunga. Aane wali post me rooted phone ka kaise backup lete hai wo bhi hum dekhenge. So aaj hum aise kuch Apps ki jankari lenge jinki madat se hum Apps, Contact, Text messages, Photos in sab files ka backup le sakte hai aur jarurat padne par restore bhi kar sakte hai. Sabse pehle dekhte hai google Drive me Backup kaise save karte hai.
Google Drive Me Android Phone Ka Backup Save and Restore Kaise Kare
Google Drive me backup save karne ke liye hume koi special application ki jarurat nahi hoti ye android me already function hota hai kyu ki android ye google ki operating system hai. So Google account me backup enable karne ke ke liye apne phone ke setting me jaye, setting me jane ke bad aapko Backup and reset aisa option dikhega us par tap kariye.
Now Backup My Data ko enable kariye. Is Option ko enable karne ke bad aap jo bhi data phone me daloge wo automatically google drive me upload hota rahega. Next step aata haibackup account yaha aapko backup account dena hai. By default backup account wahi selected rehta hai jo aapne playstore me login kiya hai. Basically backup account me hume gmail ki email id provide karni hai, us email id me sabhi files save hoti hai. Third option jo hai uska matlab ye hai, Agar aap koi bhi App Reinstall karte hai toh us App ke regarding jo setting aapne pehle set kari thi wo automatically phone le lega.
Restore Kaise Kare :-
Abitak humne sikha ki backup save kaise karte hai, ab sikhna jo backup save kiya hua hai u se restore kaise kare. Toh restore karne ke liye hume kuch bhi karne ki jarurat nahi hoti ye process puri automatic ho jati. Jab hum gmail ki id aur password enter karte hai tab internet chalu karne ke bad phone restore ho jata hai. Suppose Agar aapne abhi aapke phone me backup lekar rakha hai aur aapka phone apse mis ho gaya aur aapne new phone kharid liye toh new phone me sabhi old data copy karne ke liye aapko new phone ne wahi gmail id enter karni padegi jo aapne old phone me kari thi.
Backup Ke Liye Best Two Android Apps
Ab hum kuch applications ki madat se kaise backup save karte hai wo dekhenge. Bahot sare applications hai playstore me jinko aap backup ke liye use kar sakte hai. Un me se do Apps best hai jo ki bahot popular hai aaj hum unke bare me dekhenge aur unko use kaise karte hai wo bhi sikhinge.
1. Easy Backup & Restore
Backup lene ke liye ye bahot hi badiya App hai. Easy Backup & Restore size me bhi bahot chota hai. Is App ko aap play store se free download kar sakte hai. Toh chaliye dekhte hai ise use kaise kare.
- First of all, download, install and open Easy Backup & Restore.
- Open karne ke bad ye aapko puchega kya aapko abhi new backup bana na hai, Toh yes par tap kariye. Yes par tap karne ke bad ek popup khulega waha aapse pucha jayega aapko konse konse items ka backup save karke rakhna hai toh sabhi items ko check kariye, aur OK par tap kariye.
Now aapse kaha jayega backup kaha save karna hai. Waha SD card select kariye. SD card select karne ke bad Default storage par check kare aur OK par tap kariye.
- Ab file ka name aap chahe to change kar sakte hai. Change karke OK par tap kariye. Ok par tap karte hi sabi files ka backup ban na chalu ho jayega aur jab backup successfully save ho jayega, aap u se use kar paoge restore karne ke liye.
So ab samjo aapne new phone liya hai aur aapko ye backup se new phone restore karna hai toh pehle aapko us phone me Easy Backup & Restore ko install karan padega aur wo backup file restore karni padegi so chaliye dekhete hai restore kaise kare,
- Open Easy Backup & Restore
- Now aapko restore ka option dikhega us par tap kariye. Tap karne ke bad aapse pucha jayega backup file kaha par save hai to SD card me save hogi toh SD card select kariye. Aapne jaha file save ki hai us drive ko select kariye.
- SD card par click karte hi jitni bhi backup file save hogi wo sabhi aapko dikhegi sabse newest file ke upar tap kariye, tap karte hi kuch der ke bad all data restore ho jayega.
2.Super Backup SmS&Contancts
Ye ek another application hai jo android phone ka backup lene ke liye use kiya jyata hai ye App lagbhag Easy Backup & Restore ke jaisa hi hai. Is app ki madat se hum Contacts, Calendar, Call log, text msg in sab ka backup bahot jaldi le sakte hai. Is App ki madat se hum backup SD card me save kar sakte hai. aur jab chahe tab use kar sakte hai. Is App ko app play store se free download kar sakte hai. So chaliye Dekhte hai Super Backup sms & contacts ko use kaise kare.
- Super Backup ko aapne phone me install karke open kariye.
- Now screen ke upar ek table dikhega us me se jo bhi item ka backup aapko lena hai us par tap kariye. Tap karne ke bad bahot sare options dikhenge us me sebackup is option par click kariye.
- Now aapko backup file kaha save karni hai ye pucha jayega, u se by default rehne de aur ok par tap kariye. Ab aapne jo item par tap kiya tha us ka backup ban chuka hai abi dekhte hai restore kaise kare.
- Jo item ko restore karna hai us par tap kariye jaise humne backup lete samay kiya tha.
- Ab aapko kai options dikhege us me si restore option select kariye.
- Restore option select karne ke bad aapko pucha jayega backup file kaha par save karke rakhi hai. So Backup file select karke Ok par tap kariye. Tap karte hi data restore ho jayega.
I hope aapko ye post pasand aa gai hai aur aap jan gaye hai ki android phone me jo data hota hai us ka backup kaise lete hai. Agar aapko ye post samaj ne me koi problem aai hai toh aap comment ke through humse puch sakte hai. Post pasand aa gai toh facebook par share karna na bhuliye aur agar aapko new post ka email notification chahiye toh humare blog ko subscribe kariye.
Aap ka dost akash ubale....
0 comments:
Post a Comment
Comment kar ke puche