Dhirubhai Ambani Garib Se Ameer (Crorepati) Kaise Bane - Dhirubhai Ambani's Success Story And Bio-Graphy In Hindi
Hi Friends,Aaj ham ek heart touching topic par baat karne wale hai.India ke ghar-ghar me jiska naam hai or croro dilo ko jisse motivation milta hai Or jisne apne kaam se puri duniya me india ka naam roshan kiya hai Jiska naam hai Dhirubhai Ambani.Mai yeh kya dekh raha hu ki rozana bahot se log internet par search karte hai ki Garib se amir kaise bane,Garib se lakhpati kaise bane Ya Garib se crorepati bane ke tarika bataye etc.Mujhe ek baat bataye ki aap sach me itne hi garib hai toh net karane ke paise kaha se aate hai ? or garib ko toh 2 time ka khana tak naeeb nai hota ! Jo log aisa soch rahe hai mai unko bata du ki aap log garib nai hai or jo log garib hai unhe help kare or jivan me aage badhne ki prerna de.
Jo log sach me garib hai ya khud ko garib mante hai toh mai unse ek hi chiz kehna chahuga ki " Garibi mein janm lena voh aapka kasoor nai hai,Par vahi garibi mein marna toh aapka hi kasoor hai " Mai kahi din se dekh raha hu ki internet par is baat ko leke bahut log pareshaan raha karte hai so unke lie aaj ek pakka solution hai.Swa.Dhirubhai Ambani Or Narendra Modi jaise logo ne nakkar garibi me se apna rasta banaya hai or aaj aap dekh sakte hai ki ek world ka top bussinessman hai toh ek Prime minister ban kar pure india ko chala raha hai.
Dhirubhai Ambani Ke Bare Mein - BoiGraphy Of Dhirubhai Ambani
- Full Name : Dhirajlal Hiralal Ambani
- Born : 28 December 1932
- Died : 6 July 2002
- Birthplace : Junagadh (Gujrat)
- Education : Highschool
- Marrige (spouse) : Kokilaben
- Childrens : 1.Mukesh Ambani 2.Anil Ambani 3.Neena Kothari 4.Deepti Salgaokar
- Awards : Padm Vibhushan (2016)
Dhirubhai ambani ek safal or shaktishali bhartiy udhyogpati the.Agar unki hisstory ke bare me baat kare toh aap soch bhi nahi sakte ki unhone kaisi garibi me se khud ko bahar nikala hai.Dhirubhai ambani ne 1966 me reliance industry ki sthapna ki thi.Or 2002 tak company ke 85000 karmachari ban gaye the.or central goverment ke pure tax me se 5% reliance deti hai.Ek report ke hisaab se 2012 me vishva ke sab se amir aadmi or sab se best company ke liye reliance ke founder dhirubhai ambani ka naam bhi shamil tha.Unhe sunday times me asia ke top 50 vyapariyo ki suchi me shamil kiya gaya tha.2007 me pure parivaar ki kul sampati 60 bilione $ thi.Jisne ambani ko vishva ki tisra ameer parivaar bana diya.
Dhirubhai Ambani Garib Se Amir Kaise Bane - History Of Dhirubhai Ambani
- Gujrat ke ek chote se gaav chorvad me ek school me shikshak ke pad par Dhirubhi ke pita Hirachand Govardhandas Ambani sthayi the.Hirachand ke 5 bache the jisme dhirubhai teesre number ke bete the.
- Aarthik garibi ke karan dhirubhai sirf highschool tak hi padh paye the or fir highschool ke baad unhone padhi ko chod diya.Ab dhirubhai ghar ki paristhiti sudharne ke liye apne pita ko madad karna chahte the Isliye us samay unhone Girnar ke paas Bhajiye ki dukaan laga di.jise unhe kuch paise mil jate the.
- Dhirubhai ki pehli job 1949 me 17 varsh ki umr me kabota naam ki ship se voh yemen ke aden shehar pahoche the.Yaha unke bade bhai ramaniklal ne job ke liye sari vyavstha kar rakhi thi.Isliye unhe videsh me aasni se job mil gayi.
- Videsh me job karte vaqt dhirubhai ke dimaag me kuch or hi chal raha tha ki khud ke liye or apne desh ke liye kuch bada kiya jaye.Isliye 1954 me india vapas aa gaye.
- Us samay 1955 me kuch naya karne or apni kismat aazmane sirf 500 rupaye lekar train se mumbai pahoche.Fir 2-3 saal tak unhone bahut struggle kiya or chote mote kaam kar ke apna jivan chalate rahe.
- Fir 1958 me dhirubhai ne reliance ki sthapna ki.Masale or anya vastu banane ka karobar sambhala.
- Fir kapde ke dhandhe me turnover karte samay unhe ye khayal aaya ki Synthetic kapde ki lokpriyta badhti ja rahi hai Is vajah se 1966 me dhirubhai ne Ahmedabd ke naroda mein apni pehli kapde ki mill ki sthapna ki.
- Reliance ki is mill ne 9 crore kaa karobar kar ke 13 lakh ka munafa kamaya.
- 1977 me reliance ne pehli baar baazar mein khud ke share bech kar paise khade kiye jo ek badi safalta thi.
- Dhirubhai apna kaam badi imandari se karte the.Isliye 1982 ke baad samany niveshko ke liye dhirubhai hero ban gaye the.Uske baad Reliance India ki sab se jyada niveshko wali pehli company bani.
- Logo ka vishvas or dhirubhai ki imandari se din prati din reliance ki lokpriyta badhti hi ja rahi thi.Or yahi se shuru hui unki vyavsayik yatra yaha se dhirubhai ambani ne aise kadam badhaye ki fir kabhi piche palat kar garibi ko nahi dekha.Or is tarah unka naam apne desh me hi nahi balki videsh me bhi prasidh hua.
6 July 2002 ko Dhirubhai ambani ne duniya ko alwida keh diya.Us samay voh 62000 crore rupaye ke malik the.Vartman me unke bete mukesh ambani or anil ambani unki saltnat ko sambhal rahe hai.Apne pita ki tarah aaj in dono bhaiyo ka naam bhi International market me sthayi hai.Aaj agar reliance ke vyavsay ke bare me baat kare toh voh oil copany,Petrochemicals,Making road,Gas pipeline,Telecome bussiness,IPL team etc.se jude hai.
Ab kuch log soch rahe hoge ki bhai hame toh garib se amir bane ke tarike ke bare me jana tah ! Toh bhaiyo koi tarika ya shortcut nahi hai Bas aap log kuch normal baat pe dhyan de paise apne aap aate jayege or agar aapme kuch krne ka junoon or talent hai toh aap bhi ek na ek din sitara banoge.
1.Agar aap free baithe hai toh sab se pehle apne liye koi achi job dhundhe.
2.Har mahine koshish karo ki pichle month se jyada kama paye.
3.Aapko jo kaam karne me maza ata hai us kaam me apna career banaye.
4.Aap jo bhi paise kamate hai usse faltu me udaye mat or is tarah apni saving banaye rakhe.
5.Hamesha motivated rahe or jis chiz se aapko kaam karne ki inpiration milti hai usse banaye rakhe.
6.Jo garibi me se bahar nikal kar amir bane hai vaise logo ko follow kare.Jaise ki Dhirubhai ambani,Narendra Modi.
Hamare blog ko subscibe jarur kare kyu ki aage ham narendra modi garibi me se prime minister kaise bane hai us topic par baat karne wale hai jise aap guaranteed apne aap ko motivate kar ke ek amir aadmi bana sakte hai.Isliye aise Updates pane ke liye subscibe karna jaruri hai.Ab aap bhi dhirubhai ki tarah puri imandari se post ko door-door tak share kare.Milte hai apne next article mein tab tak Take Care !
..............................................Padhne Ke Liye Dhanyawaad..............................................
Post kaisi lagi jarur bataiye
0 comments:
Post a Comment
Comment kar ke puche