Free Call Kaise Kare Online Calling Softwares
Free Call Kaise Kare Online Calling Softwares. Free calling karna kise pasand nahi hoga har koi free calling karna chahta hai. Aur agar uspe baat ho video calling ki to aur bhi majedar baat ho jati hai ye. Ki hum ek dusre ko face to face dekh sakte hai aur vo bhi sone pe suhaga kya hota hai agar vo free me dekh sake. Ek samay tha jab hum mms ke raste mobile se snaps bhejte the, video calling karte the. Par ab jamana badal gaya hai. Internet ne ek se ek taknik nikal li hai jise ki aap video calling kar sakte hai vo bhi muft me. To hai na majedar baat ye. To aaj hum apko naye tarike batate hai jise ki aap video aur audio calling kar sakte hai. Ek dusre ko face to face dekh sakte hai. Aisa lagega hi nahi ki aap ek dusre se dur hai. To chaliye jane Free Call Kaise Kare Online Calling ke tarike.
Tiviphone
Aisa software jo aapki mushkil ko kam kar dega. Aapko apke apne se duri ke ehsas ko kam karva dega. Lagega ki aap bahoot pass ho ek dusre ke. Ji haan to jaaniye kaun sa software hai ye. Tiviphone ye ek chota software hai jiski help se aap apne computer or mobile ki help se kisi dusre computer or mobile par free main voice or video calling kar sakte hai. Is software ko un dono computer or mobile mai install khona chaiye jinke bich call hona hai. (Free Call Kaise Kare Online Calling Softwares).
Is software ka sabse bada fayda ye hai ki aap dunia ke kisi bhi kone mai kisi ko bhi jinke computer or mobile main ye software install hai toh free mai video calling kar sakte hai. And charge bass gprs ka service charge lagega. Is software ke use ke liye ye jaruri nahi hai ki aap ke mobile main 3g pack hai ya nhi or aap 3g network main hain ya nhi. Is software ko install karne ke baad apko ismai ek free account banana hoga jaise aap yahoo messenger or skype par banate hain aur fir aap is software ko use kar sakte hai. Ye ek bhut hi acha or kaam ka software hai iska use hum pichle 10 month se kar rahe hain. (Free Call Kaise Kare Online Calling Softwares).
Skype
Skype Sabase lokpriya software hai aur net par aasanise muft me download kar sakte hai. Ye software bahotsi OS(operating systems) ko support karta he jaise Windows, Apple’s iOS & Mac, Android and Symbian. Iska upayog karane ke lie Skype par account hona chahiye. Skype se app free me chatting bhi kar sakte he. Agar apke pass headphone he to aap call bhi kar sakte he. Saath hi aap ise nich diye gaye devices se call ya chat kar sakte he.
- Mobile to Mobile
- Mobile to PC
- PC to PC
Mobile to Landline or PC to Landline ke liye premium account chahiye hota hai.
(Free Call Kaise Kare Online Calling Softwares).
Kuch aur software jinhe aap use kar sakte hai.
- Tango
- Viber
- Facebook Messenger
- Google Hangout
- KakaoTalk
- LINE
- magicApp by magicJack
- Nimbuzz Messenger
- Yahoo Messenger
- imo
- Nanu
- Voxox
Free Call Kaise Kare Online Calling Softwares.
Koi problem ho to aap comment kar ke puch sakte ho
Aap ka dost akash ubale....bus googal me net king akash bina space diye daal do.....
Dhanyawad
Tags: Free Call Kaise Kare, Online Calling Softwares, Free Call Ke Online Softwares. Free Online Calling Softwares, Free Mai Call Kaise Kaise Karte He. Free Call Karne Ke Online Software.
0 comments:
Post a Comment
Comment kar ke puche