Youtube ki best treaks jo aap nahi jante ho....
Dosto aaj ki treak bohot acchi hai...aap ek baar padh ke dekho....
Start now.
Aaj kal ham koi bhi video online dekhne ke liye sabse jyada youtube ka istemal karte hai. YouTube logo ke beech kafi popular ho chuka hai. Aapko koi bhi topic ko video dekhni ho wo topic aap YouTube par search karke video dekh skte hai. Youtube me aapko movies, songs dance technology etc. Aapko caroro video mil jayegi. Jise aap free me dekh skte hai. Youtube me har 1 minute me lagbhag 300 hours ki video upload hoti hai. Toh aap samj hi skte hai. Ke YouTube kitna popular platform hai.toh dosto aaj ka hamara topic ha ki YouTube ki kuch amazing tricks jo aapko abhi tak pata nahi hogi.
YouTube ka simple use karna toh sab jante hai lekin YouTube me kuch aisi tricks bhi hai jisse apka kaam aur asan ho jayega. Aisi hi tricks aaj ki post me mai apko bataunga Agar aap in tricks ko janna chahte hai toh post ko padhte rahiye.
Pichhli post me maine apko bataya tha ki agar aap apne facebook last active time ko hide karna chahte hai toh aap hamari is post ko padh skte hai.
Youtube Ki 5 UseFul Tricks
Aapko pata hona chahiye youtube par laghbhag log 30 carore video daily dekhe jate hai. Toh ab jante hai YouTube ki 5 tricks
1. Auto Play Video Disable Kare
Aaj kal 3G internet data bohat hi costly hai. Aise me ham jab bhi koi video select karte hai. Wo video apne aap play hone lagta hai. Aise me hamara kafi iinternet data waste ho jata hai. Agar aap auto play video ko band karna chahte hai. Toh apko autoplay ko off karna hoga. Autoplay off karne ke liye aap autoplay par click kare aur off par click kare. Ab aap dekh skte hai ki koi bhi video apne aap play nahi hogi. Jab aap plAy nahi karege.
2. Koi Bhi Artist Ke Sabhi Albums Dekhe
Agar aapka koi favorite artist hai. Aur artist ke aap sabhi songs ek page par dekhna chahte hai. Toh iske liye ek bohat simple si trick hai. Aap search box me koi bhi artist ke naam ke aage “#” laga de. Aur fir results dekhe aapke favorite artist ke sabhi.songs aapko ek page me dikhai de jayege. Aap koi bhi artist ke songs ek sath is trick ko use karke search kar skte hai.
3. Youtube Video Ko MP3 Me Convert Kare
Agar Aap YouTube songs ko mp3 me download karna chahte hai. Toh ye karna bahut hi easy hai. Aap koi bhi songs ko search keejiye aur use open kare. Ab aap video ke url me www. Ya m. Ko hatakar ss laga de. Aur fir reload kar de. Ab aapko sabi format dikhai de jayege ki apko kis format me video download karna hai. Sabse neeche apko.Mp3 ka options mil jayega.
4. Koi Bhi Video Baad Me Kaise Dekhe (Watch Later)
Aapko kai bar video dekhte dekhte usse related video mil jata hai. Aur aap use abhi nahi dekhna chahte hai. Aur jab aap baad me video dekhte hai tab apko yaad nahi rahta hai ki wo kaun sa video tha. Agar aap video ko baad me dekhna chahte hai. Toh aap YouTube ki is trick ka use kar skte hai. Isko use karne ke liye. Aap Add Par click kare aur fir watch later ko select kare. Ab apka video save ho jayega. Ab aap kabhi bhi video ko dekh skte hai.
5. Age Verification Hataye
Kuch video aise hote hai. Jo adult video bhi nahi hote hai. Tab bhi usme age verification kahne lagta hai. Toh fir apko login karke age verify karni padti hai. Agar aap bina age verify kiye video dekhna chahte hai. Toh aap url me “watch?” Ko mita de aur ”v” ki jagah par “v/” type kare. Ab aapki video play hone lagegi.
Happy Ending for you
Dosto me akash ubale aap ke liye har vakt madat karte rahunga or aap duniya ka koi bhi saval jo inpossible bhi lagta ho puch sakte ho...
Bus mere post ko like and share karte rahiye
0 comments:
Post a Comment
Comment kar ke puche