Facebook

Hii....i am akash ubale and Ye website maine banai hai me koi proffesinal hacker nahi hu bus kuch logoka dekh ke khud sikhta hu or aap ko sikhata hu...agar koi bhi problem ho bus netkingakash27@gmail.com pr ek msg kar do aap ko aap ka javab mil jayenga.... so enjoy my website...net king akash

Wednesday, June 8, 2016

bank exam knowladge ki tayyari kaise kare

         Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare Hindi 


Aaj bank mein karya karna har yuva ka swapn hai. Bank ki tankha bahut acchi hoti hai. Saath hi lagatar naye bank aane ke karan bank mein karya karne wale ummidwaron ki hamesha zaroorat rehati hai. Bank mein karya karne ke liyebank har star par parikshayen karvata hai jaisi PO exam, Clerk Exam, RRB Exam aadi. Aap in parikshaon mein safal hokar aasani se bank ki naukri paa sakte hain. Aaiye jaane ki Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare Hindi Me.



Bank exam mein reasoning ki tayari
Bank exams mein aane wala reasoning yani tarkik shamta ka prashna patra atyadhik mahtvapurna hota hai. Yadi aapki reasoning acchi hai to aap bank parikshan mein acche ank laa sakte hain. Ismay aay adhiktar prasn vaikalpik uttaron wale hote hain yani ek prashna ke 4 uttar diye rehte hain umen se aapko sahi uttar chunna rehta hai. Ismay shrinkhala ke, ankon ke, dishaon ke, rishton ke, aakritiyon ke prashna aate hain. Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare.Inhe hal karne ka sabse sahi tarika hai ki aap ekagra hokar shaant mann se un prashno ko hal karen. Inka jitni zyada abhyaas kar sakate hain karen. Bazar mein reasoning ki tayari karne ki anekon kitabe aati hain. Aap jitna zyada reasoning ke prashno ko hal karenge aapki reasoning utni hi acchi hoti jaayegi.
                 Samanya gyan ki tayyari.......            
Bank exams ke liye samanya gyan bhi bahut zaroori hota hai. Yadi aap roz samachar patra padhte hain to aapke samany gyan ka adhikanshbhag majboot ho jaayega. (Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare).Samanya gyan ke prashna patra ki tayari pariksha se kam se kam 6 mahine pehle se shurukar de. Samanya gyan mein jo vishay liye jaate hain woh hain aarthik vyavastha, bazaar ka vishleshan, puraskar, khel, krishi, vikas dar, mahtvapurna arthik samjhaute aadi.  Yeh sab achchi tarah aapko pata hon iskay liye aap roz samachar patra padhen. Aur in vishayon ki mahtvapurna ghatnaon ko note karte chalen. Is say apko woh ghatnayen yaad rahengi aur aap unse sambadhit prashno ka aasani se hal kar sakengae.

English ki tayari kaise kare

Bank ki parikshaon mein english ke prashnon se bhi aap acche ank la sakte hain. English woh vishay hai jisme agar aapki acchi pakad ho to aap merit mein acchi sthiti prapt kar sakte hain. Iski vajah hai ki anek ummedwaron ki english acchi nahi hoti hai. Woh kewal english mein passkarne layak ank laane ki soch rakhte hain. Aise mein agar aap apni engllish acchi kar len to apkozyada labh mil sakta hai.Iskay liye aap kisi acche english teacher se tutionpadhne jaayen. Aise hi teacher se english padhen jo bank ki parikshaon mein english ki tayari karvate hon kyonki woh us star se padhayenge jo apke imtehaan mein zaroori ho kyonki agar puri english ek baar mein padhna chahenge to app kabhi safal nahin ho paayenge. Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare.English ke prashna patra mein khali stan bharo. Badi kahani ka saar likho. English ke muhavaron ke arth, vakyon ko shudh karna aate hain. Aur agar aapne pehle hi is tarah ke prashan hal kiye huye hain to aapko kisi bahi tarah ki mushkil nahin aayegi.



Sankhyatmak Pariksha ki tayari

Is prashna patra mein kai tarah ke sawal aate hain jo shreniyon, ank pranali, vargatmak samikaran, anupaat, pratishat, sarlikaran aadi se sambandhit hote hain. Inhay hal karne ki liye zaroori hai ki apke ganit ka aadhar accha ho. Yeah wahi vishay hain jo hum 12 class aur college mein padhte aaye hain. Isliye inhen majboot karne ke liye yeh zaroori hai, ki jab aap school ya college mein ganit vishay padhen to keval us kaksha ko pass hone ki liye nahin padhen balki uska vistrat addhyan karn. Ek hi prakar ke anek sawalon ko karne ki koshish karen. Is parakar ki tayari se apke college mein toacche ank aaengi hi saath hi apka ganit itna majboot ho jaayega ki aap koi bhi bank ka sawal aasani se hal kar sakenge.

Computer ke sawalon ki tayari

Bank ki parikshaon ki tayari mein apka computer gyan bhi accha hona chahiyee. Apko network ki sampoorn jaankari honi chahiye. Iskay alawa application software jaise MS-word, Ms-Excel aurdoosre software ke baare mein bhi jaankari honi chahiye.  Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare.(bank jobs, bank exams, banking jobs, upcoming bank exams. jobs in banks, bank job, banking exams, job in bank. bank careers, banks jobs, jobs in banking sector, Bank Exam Ki Tayari Kaise Kare).Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.

0 comments:

Post a Comment

Comment kar ke puche

dont Coppy akash ubale's blog. Powered by Blogger.

Latest News

Blog Archive

like my facebook page

comment me

All problem 1 sellution by akash ubales post

वेबसाईट निर्माता के बारे में Net King Akash

My Photo
दोस्तों में आकाश उबाळे,मुझे लोगोकी हेल्प करना अच्छा लगता है मैंने ये वेबसाइट सिर्फ लोगोकी हेल्प के लिए निकाली है,इसलिए मैंने इसमें एडसेंट नहीं लगाई,तो दोस्तों आप का फैमेली प्रॉब्लम हो हस्बेंड वाइफ प्रॉब्लम हो या दुनिया का कोई भी प्रॉब्लम हो आप मुझे बिंदास बोल सकते है आप के हार बात का जवाब दूंगा Netkingakash27@gmail.com

Thanks for visit my site.....Net King Akash

Name

Email *

Message *

Contact Form

Name

Email *

Message *

Love Problem ke sellutions

क्या सीखना चाहते हो निचे पढ़िए,हर एक अपने चॉइस से

Popular Posts