Computer Ko Password Kaise Lagaye
Computer Ko Password Kaise Lagaye Windows Security. Kyun ki aaj kal har kisi ki jindagi itni personal ho gayi hai ki ab har koi apna data apna kaam sabse chupa ke rakhna chahta hai. Ab vo kaam chahe facebook pe chatting ka ho. Koi video download karne ka ho ya fir koi business ya job se judi kuch files ko surakshit rakhne ka ho. Ab har koi apni cheej kisi ke saath bhi share nahi karna chahta. Jaise ki aap mobile me password laga ke rakhte ho. Kisi anjan vyakti ke haath me apka mobile chala jaye aur use apki sari information mil jaye isliye aap password lagate ho aise hi ab computer ko bhi aap kisi anjan vyakti ke haath me barbad hone se bacha sakte ho. Windows ko extra insaan se protect rakhne ke liye password ka use kiya jata hai. Password lagane par jab bhi aap computer ko ON karoge toh pehle password dalna hoga. Uske baad hi computer par kuch work kiya ja sakega. Aiye jante hai apne Computer Ko Password Kaise Lagaye Windows Security.
- Sabse pehle aap computer ke start button par click kare.
- Uske baad vahan option khulega usme se control panel ko open kijiye.
- Vahan bahoot sare options me se ek option hoga user account. To user account ko kholiye.
- Fir next option create a password for your account par click kijiye.
- New password box main apna password likhiye.
- Confirm new password box main usi password ko dobara likhiye.
- Type a password hint main aap apne password ke liye koi hint likh sakte hai. (Hint tab kaam aata hai jab aap apne password ko bhul gaye ho. )
- Ab create password button par click kar dijiye.
- Apka computer password se protect ho chukka hai.
Vaise ab har computer ke windows ka alag alag tarika ho gaya hai. Par jyadatar password lagane ke liye ye tarika hi ajmaya jata hai. To aap is tarike se apne computer ko kisi aur ke hathon kharab hone se bacha sakte ho. Agar apka computer protect hai to koi kuch bhi nahi kar sakta hai. (Computer Ko Password Kaise Lagaye Windows Security).
ab aap ne apne pc Ya laptop pe password laga liya hai ab apna data safe rakhe....
accha laga to jaroor dosto se share kare
0 comments:
Post a Comment
Comment kar ke puche