Facebook

Hii....i am akash ubale and Ye website maine banai hai me koi proffesinal hacker nahi hu bus kuch logoka dekh ke khud sikhta hu or aap ko sikhata hu...agar koi bhi problem ho bus netkingakash27@gmail.com pr ek msg kar do aap ko aap ka javab mil jayenga.... so enjoy my website...net king akash

Wednesday, July 6, 2016

Mobile speed kaise badhaye,how to speed up your mobile sab jankari hindi me

Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye – Jankari Aur Tips Hindi Me



Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye  

Aapne aksar dekha hoga ki kuch din tak istemaal karne ke baad aapke mobile phone ki speed kam hone lagti hai. Hum sabhi chahte hain ki hamare mobile ki speed hamesha tez hi rahe. Apke mobile aur operating system ki bhi kuch upayon se speed tez ho sakti hai. Aaiye jaane kya hain who upay jinse aap apne Mobile Phone Ka Speed Kaise badha sakte hain. Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye – Jankari Aur Tips Hindi Me.

Mobile ko update rakhen

Aapke paas android ya windows jo bhi mobile hai usay apko update rakhna chahiye. Google mein search kar har mobile aur uskay model number se sambandhit sanshodhan pata kiye jaa sakte hain. Search mein who site milti hain jo upko aapke mobile ko update kar deti hain aur uskay operating system ke liye aavshyak service pack install kar deti hain. Is prakar apka mobile update ho jaane par tez speed se kaam karega.

Bekar App ko hatayen

Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye, Jab bhi aap koi App apne mobile mein install karte hain to woh  kuch jagah awashya gherta hai. Issay mobile ki speed dheeree hone lagti hai. Jitni zyada aapke mobile mein jagah ghiri rahegi utna hi aapka mobile slow ho jaayega. Isliye woh App jo aap kabhi bhi use nahin karte unhen uninstall kar den. App ko nimna prakar uninstall karen.
Sabse pehle Setting select karen. Iskay baad Application Manager select karen. Iskay baad All tab select karen. Iskay baad list aayegi unmen se who App select kare jinhen aap unistall karna chahte hain. Iskay baad Unsitall ko select kar sabhi App ko uninstall kar den.

App ko disable karen

App ko uninstall karne aur disable karne mein antar hai. Uninstall un App ko karen jo aap kabhi use nahin karenge jisse woh mobile se hamesha ke liye hat jaayenge. Par kuch App aise bhi hote hain jo abhi istemaal mein nahin aa rahe hain par baad mein istamaal mein aa skte hain. Aise App ko disable karke rakhen. App diable hone ke baad mobile mein hi rahenge par karya nahin karenge. Jisse mobile ki speed badh jaayegi. Jab aapko phir se App chahiye to unhen enable kar dijiye. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).

App ko update karen

Jo App aap istemaal karte hain unhen update karte rahen.  App ko tab update karne ka prayas kijiye jab woh Google Play par uplabdh hon. Update karne se aapke App mein naye features jud jaayenge aur update huye App accha aur tez karya karenge jisse aapke mobile ki speed aur badh jaayegi.

Tez speed wala memeory card istemaal karen

Memory card aapke mobile phone ki who jagah hai jahan aapka mobile phone ka data sanchit hota hai. Jin mobile ki aantrik memory kam hoti hai unmay agar zyada shamta wala memory card dal den to mobile tez gati se karya karne lagte hain. Bazaar mein 2 GB se 32 GB tak ke tez gati ke memory card uplabdh hain jinke istemaal se aapke mobile ki speed badh jayegi. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).

Live wallpaper ko nahin len

Alag-alag mobile alag-alag live wall paper ke saath aate hain lekin ye wall paper na sirf zyada storage lete hain balki mobile ki gati ko bhi dheera kar dete hain aur battery ko bhi jaldi discharge kar dete hain.  Isliye yadi aap apne mobile phone ki speed badhana chahte hain to aise Live wallpaer ka istemaal karna band kar dijiye. Live wall paper ko hatane se hi apka mobile tez chalne lagega.

Syncing seva ko band kar den

Mobile mein syncing seva hoti hai jiske dwara aap apne mobile ke har naye update ki jaankari turant hi paa jate hain. Jaise aapke paas ko email aayi to apko mobile turant hi bata deta hai ki aapke paas nayi email aayi ahi. Aisa hi aur doosri application ke sath hota hai. Syncing seva se mobile ko har 5 minute mein update hona padta hai aur issay maobile ki speed kam ho jaati hai. Isliy syncing seva keval bahut aavashyak data ke liye hi rakhen aur baki applications ke liye is seva ko band kar den. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).
Iskay liye Setting mein jaayen. Phir Accounts ya Accounts & Sync select karen. Phir list mein se un appliction se selection ka sign hata den jinki aapko syncing seva nahin chahiye.
dosto ab sikh gaye hai net king akash ne jo aap ko sikhaya bus ek baar try kar ke dekhe aop ko aap ka  phone super fast work karta hua dikahi denga....support me on my web site bus google me net king akash dal do aap ko har saval ka javab mil jayenga.....dhanyavad 

0 comments:

Post a Comment

Comment kar ke puche

dont Coppy akash ubale's blog. Powered by Blogger.

Latest News

like my facebook page

comment me

All problem 1 sellution by akash ubales post

वेबसाईट निर्माता के बारे में Net King Akash

My Photo
दोस्तों में आकाश उबाळे,मुझे लोगोकी हेल्प करना अच्छा लगता है मैंने ये वेबसाइट सिर्फ लोगोकी हेल्प के लिए निकाली है,इसलिए मैंने इसमें एडसेंट नहीं लगाई,तो दोस्तों आप का फैमेली प्रॉब्लम हो हस्बेंड वाइफ प्रॉब्लम हो या दुनिया का कोई भी प्रॉब्लम हो आप मुझे बिंदास बोल सकते है आप के हार बात का जवाब दूंगा Netkingakash27@gmail.com

Thanks for visit my site.....Net King Akash

Name

Email *

Message *

Contact Form

Name

Email *

Message *

Love Problem ke sellutions

क्या सीखना चाहते हो निचे पढ़िए,हर एक अपने चॉइस से

Popular Posts