Tension Free Kaise Rahe – Tanav Kaise Kam Kare
Tension Free Kaise Rahe ye sawaal aaj sabko khaye ja raha he. Tension yani chinta vo shabd hai jo na sirf manushya ke svasth par nakaratamak prabhav dalta hai. Balki Tension Free Kaise Rahe shabd insaan ke jeevan me hamesha ke liye jud jaaye to ye ek badi bimari ka bhi rup le leti hai apki puri dincharya kharab to kar hi deti hai. Apke svabhav me bhi apko pata nahi chalega aise kharab badlaav aa jate hai. Aiye jante he ki Tension Free Kaise Rahe – Tanav Kaise Kam Kare – Jankari Hindi Me.
Yun toh har vyakti ke jeevan me utaar chadav hote rehte hai. Manushya ke jeevan me samasyaon ka aana bana rehta hai aur isse chinta ka janm hota hai. Lekin choti choti baton ko lekar maansik rup se tanav me har samay ghire rehna ye sharir ke liye kaafi nuksan dayak sabit hota hai. Issise Tension Free Kaise Rahe – Tanav Kaise Kam Kare sawaal uthata he.
- Padhiye : Akelapan Dur Kaise Kare.
Aaj ke is busy doar me har samay pal rahe tension se agar aapne duri nahi banayi to isse kaun kaun si samasya paida ho sakti hai. Iske bare me aaj hum apko batayenge aur saath hi experts dvara bataye gaye sujhav bhi batayenge jis se aap pa sakte hai tension free life.
Jyada chinta karne se paida hone vaali samasya.
Samanyikrut Chinta Vikar (Generalized anxiety disorder).
Jununi Badhyakari Vikar (Obsessive-compulsive disorder).
Fobia Kaise Dur Kare
Doctors ke mutabik Tension Free Kaise Rahe – Tanav Kaise Kam Kare ek aisi manovigyanik samsya hai jo jyada tension lene se janm leti hai. Aur aakhiri me ek bimari ka bhi rup dharan karti hai. Isliye koshish kare ki chinta ko apne aas pass bhatakne na de
Tension Free Kaise Rahe
Sabse pehle dheirya ko apni life me banaye rakhe. Yeh tension free life ka ek mahatvapurn mul mantra hai. Uske baad shant man se vichar kare ki kin baton ki vajah se apko jyada chinta hoti hai.
Apni chinta ki sahi vajah janane ke baad sakaratmak dhang se us samaysa ke samadhan ki aur kadam badhaye. Baar baar usi baat ke bare me na soche
Jahan tak ho khud ko busy rakhne ki koshish kare jyada der tak khaali na baithe.
Exercise/yoga kare
Niyamit rup se exercise, yoga abhyash aur morning walk kare. Isse brain se endofirs namak harmon ka sikarshan hota hai jo tanav ko dur karne me sahayak hota hai
Bury chijon ke shoukin na bane
Khaanpan ki aadaton aur jeevanshelly me badlav laaye. Junk food, chaaye,coffe, alcohol aur cigrate jaise cheejen thode samay ke liye chinta se rahat jarur dilate hai. Lekin iski aadhik matra mastishk ki karysharmta ghatati hai.
Sakratamk soch apnaye. Acchi kitab padhe aur khushmijaj logon ke saath vakt bitaye.
Apne apko kush rakhna itna bhi mushkil nahi hai ki iske liye apko alag alag kaam karne pade. Bus kuch tips apnane ki jarurt hai jise aap hamesha khush rahenge.
Comedy serial dekhe
Bus apni soch ko hamesha sakratmak rakhe. Kabhi bhi kuch bhi galat khayal man me aaye use pehle soche ki us galat baat ke piche kya kuch acchi baat hosakti hai. Fir bhi kuch samjh na aaye toh apne apko kaam me vyasta(busy) kar le. Itna tension mat le ki aap bimari ki dukan ban jaaye. Kuch hasi majak ke serial dekhe. Vaise bhi aaj kal aise bahoot se serial aate hai jinse aapka man acche se behal jayega.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas google par jaye.net king akash search kare
Tension Free Kaise Rahe – Tanav Kaise Kam Kare – Jankari Hindi Me.
ab aap samaz gaye kaise aap tention free rah sakte ho....
or koi problem honga na to aap plz mujhe seprate me bata sakte hai mera email hai...netkingakash27@gmail.com
tanav mukt kaise rahe,tention free rahne ka mantra,bina tention ke kaise rahe,tentoin free
0 comments:
Post a Comment
Comment kar ke puche